Thursday, October 20, 2011

Tanhayee

Hum to akele hi jeena rja krte the,
Wo aa akr kehate hein chalo sang me,
Bahot samjhaya ye raah nhi hmaari,
Le kar chal diye hume saath apne..


Shuruaat thi ek haseen safar ki,
Roj naya mausam tha unki baahon me,
Murjhaaye hue phool bhi khille khille the,
Dunia rangeen thi unki najro se....


Bhulane lage the saath unke chalte chale hum,
Itni haseen nahi ye duniya jitni najar-e-ban thi us pal,
Ek din raahein juda hongi jroor dono ki,
Par maanana hi na chahte the ye kabhi...


Aaaj dekho mehfil bhi sajati hei,
"Suraj" ki tapish bhi kaayam hei,
Kuch nahi to bas tera sath nahi hei,
Baaki viiraniyaan bhi hein, tanhayee bhi...........

Friday, October 14, 2011

Mausam


Hum mile in vaadiyon me jab bhi,
Ek khalish si uthi h dil me kahin,
Tum paas aa gaye ho itne ab to,
Jana na dur kbhi is MAUSAM ko le ke,


Khoobsurat hei ye duniya teri najro se dekhu jo,
Kuch or na maange rub se tujhko paa liya to,
Mahfooj rakhein tujhe in palkon ki chaaown mei,
Jana na dur kabhi is MAUSAM ko le ke,


Kaid ho kar hum reh gaye in yaadon mei,
Ulajhe hue hein bas teri baaton mei,
Haseen vaadiyaan hein viiraniyon me bhi,
Tera saath agar rahe in bahon mei,


Paa kar ab tujhe khone ki chaah nahi hei,
Meri to duniyaa bas tere pehlu me hi hei,
Chaand bhi tu mera "Suraj" bhi tu hei,
Aasmaan ke sitaron ki khawaish bhi tu hei,


Samet lu tujhe apne aashiyaan mei kahin,
Jaane na du fir dut in nigahon se kabhi...

Thursday, October 13, 2011

Talaash


Dhundate hein tujhe hum kahan kahan,
Teri talaash hei ki mitati hi nahi,
Sagar bhi hamare paas hi hei ab to,
Lekin ye pyaas hei ki bujhati hi nahi....


Udatein h ek parinde ki tarah aasman me,
Mil jaaye hume shayad tu kisi makaam pei,
Mili h jindagi jo tere saath se ek baar,
Kaash kaayam rakh sake usey is jahaan mei,


Failee si hein baahein tere intzaar mei,
Aaa chhupaa lu tujhe apni nigaahaon mei,
Ab na tadpaa mujhe itni duriyaan de kar,
Jal na jaayein fool "Suraj" ki tapish mei,,


Dhundate hein tujhe hum kahan kahan,
Teri talaash hei ki mitati hi nahi,
Sagar bhi hamare paas hi hei ab to,
Lekin ye pyaas hei ki bujhati hi nahi....

Thursday, October 6, 2011

Aahat....

Hum Yunhi chalte rahe in rahon pr,
Kahin koi aashiyaan na milaa kabhi,
Ek aahat si sunayi di thi hume unki,
Aisa lga woh the yahin kahin par abhi...

Mushkil h rastaa bda unke bagair katnaa,
Sochtein hein sath le kar chale parchayi unki,
Duniya ko dekha hmesha unki najaron se,
Apni har dua mei maangi thi bas hansi unki.....

Koi dilbar unko to koi humsafar sochta hei,
Hum to khud nahi jaante kya naam de is wafaa ko,
Kehate rahe khud se ke wo hei duniya meri,
Par unko kaise samjhayein apni is jafaa ko....

Andhero me jiya karte the hum to hmesha,
Najar aaya h ek "Suraj" in ankhon ko abhi,
Hum Yunhi chalte rahe in rahon pr,
Kahin koi aashiyaan na milaa kabhi....

Ek aahat si sunayi di thi hume unki,
Aisa lga woh the yahin kahin par abhi...

Tuesday, October 4, 2011

Meri Shayari

Roshani ke pal hamare rahenge saddaa,
Bas ek tere saath ki guzarish hei,
Raaston me chalte hue kabhi gum na honge,
Bas mere haath me tere haath ki farmayish hei...

***************************************************
Raastein na jaane kahan le kar jaatey hein,
Manjilein bhi ab to ruthi ruthi najar aati hein,
Hum chahatey nahi is tapish me jalanaa kabhi,
Fir bhi jaane kyon is aag ko dil me liye bethe hein.......

**************************************************** 
Jo baat is dil me thi tujhe kehane ka man hei,
Saari umar bas teri banke rehane ka man hei,
Jaan kyon is dil ki tadap tere dil me uthati nahi,
Tujhe jaa kar apna haal-e-dil sunane ka man hei......

****************************************************

Hume har khushi ka khyaal h unki woh ye jaante nhi
Hume had se bi jyada pyar h unse woh ye maante nhi
Kaise dilaye yakeen unko is halat ka apni
Who to hmari baat bhi sunte nhi………..


***********************************************************
Jaate h jahaan bhi Ye ehsaas rehta h
Khtaa hui h humse Dil ye kehta h
Dost h hum tumhare maaf hume kar bhi do
Mana ke khtaa hui h pr tum khfaa na rho
Kaise kahe ye tumse hum to majboor the
Paas the tumhare phir bhi tumse door the

**********************************************************
Humne dard ko chupane ki koshish to bahoot ki
Par taklif to ab had se jyada badh gya hei
Humne teri har nishani ko mitane ki koshish to bahoot ki
Par har nishani me ab jaan bas gyi hei

***********************************************************
Tumne chaha hi nahi halaat badal sakte thhe
Teri aankhon ke aansu meri aankhon se nikal sakte thhe
Tum to thehre rahe sagar ke pani ki tarah
Dariya ban kar bahate to bahut door nikal sakte thhe


***********************************************************


फिर बैठे हैं आज सामने हमारे दो आँसू बहाने के लिए,
रोना हम खुद भी चाहते हैं उसे दिखाने के लिए ,
किस्मत ये हमारी है हम चाह कर भी कह नही सकते ,
चुप हैं तो बस उनसे अपना दर्द छुपाने के लिए .......


***********************************************************

इश्क इश्क इश्क इस इश्क को समझे क्या |
दर्द भी ये है और मरहम भी यही है|
दिल लगाने पर मुस्कुराहट भी ये है|
दिल टूटने कि वजह भी यही है.... ||||

***********************************************************

बेवफा हम नहीं बेवफा वो भी नहीं,
खेल किस्मत ने खेला है ये तो,
नाराज जो हुए हैं दोनों एक दूजे से,
खुश हम नहीं खुश वो भी नहीं...|||||

***********************************************************

आज तेरे सामने बैठ के रोने का मन है,
कुछ पाया है कुछ खोने का मन है,
तुमसे दूर हो कर जी नही सकते जानते हैं,
फिर भी जाने क्यों फिर से तनहा होने का मन है... ||||

************************************************************
Ek talaash adhuri si hei ae sanam tere jaane ke baad,
Mei kahin najar nahi aata jindagi se bichhad jaane ke baad...

*****************************************************************

kehane me do lafzo me is dil ki bat kahi jaaye..
koi bin bole samjhaye koi jaan de kar bhi smjha na paye..

*****************************************************************

Kinve das deya dard dilaan da tenu,
Dil vich taan teriyaan hi yaadan ne,

*****************************************************************

Tadap itni hei ke bardashat nahi ab to,
Fir bhi jaane kyon hum jiye jaa rhe hei..

*****************************************************************

Dil ke haathon itne majboor hein hum,
Kya btayein tumse kitna door hein hum.

Sitaaron ko lagta hei chaand hmara hei,
Unme ek sitaara mashahoor hein hum,..

*****************************************************************

Unki farmayish pe hum muskurate hein,
Unki wajah se haste hue najar aate hein,
Mehfil me hmare lafzo ki wah wah hoti hei,
Koi kya jaane hum unke liye lafaz bnate hein...

*****************************************************************